Saghar Nizami

dosto durd pilao ki kaDi raat kaTe

Saghar Nizami

Aligarh, Uttar pradesh, India

1905-1984
dosto durd pilāo ki kaḌī raat kaTe
mai meñ kuchh aur milāo ki kaḌī raat kaTe
āñsuoñ se ye kaḌī raat nahīñ kaT saktī
aaj mai-ḳhāna luñDhāo ki kaḌī raat kaTe
naġhme bāzār meñ mahñge haiñ to kyā ġham yaaro
nauhe ko naġhma banāo ki kaḌī raat kaTe
ziist aur maut asātīr-e-kuhan haiñ yaaro
nayā afsāna sunāo ki kaḌī raat kaTe
koī mash.hūd hai ab aur na koī shāhid
aur agar hai to dikhāo ki kaḌī raat kaTe
ye bhī īmān hī kā dūsrā ruḳh hai logo
kufr ko diin banāo ki kaḌī raat kaTe
ye añdherā ye samundar ye talātum aao
aao aur mujh meñ samāo ki kaḌī raat kaTe
Top Urdushayar.com