Saghar Nizami

gesu ko tere ruKH se baham hone na denge

Saghar Nizami

Aligarh, Uttar pradesh, India

1905-1984
gesū ko tire ruḳh se baham hone na deñge
ham raat ko ḳhurshīd meñ zam hone na deñge
ye dard to ārām-e-do-ālam se sivā hai
ai dost tire dard ko kam hone na deñge
mafhūm badal jā.egā taslīm-o-razā kā
ab ham sar-e-taslīm ko ḳham hone na deñge
sarsar ko sikhā.eñge latāfat kā qarīna
phūloñ pe havāoñ ke sitam hone na deñge
ai kātib-e-taqdīr hamārī bhī razā pūchh
yuuñ nāla-e-taqdīr raqam hone na deñge
jab tak hai dil-e-zār meñ ik qatra-e-ḳhūñ bhī
kam-martaba-e-lauh-e-o-qalam hone na deñge
jo zinda o hassās butoñ kī hai amānat
us sajde ko ham nazr-e-haram hone na deñge
uTh jā.eñge juuñ bād-e-sabā bazm se terī
tujh ko bhī ḳhabar terī qasam hone na deñge
lākhoñ kā sahārā hai yahī jām-e-sifālīñ
sāġhar ko kabhī sāġhar-e-jam hone na deñge
Top Urdushayar.com