Saghar Nizami

sadiyon ki shab-e-gham ko sahar humne banaya

Saghar Nizami

Aligarh, Uttar pradesh, India

1905-1984
sadiyoñ kī shab-e-ġham ko sahar ham ne banāyā
zarrāt ko ḳhurshīd o qamar ham ne banāyā
taḳhlīq añdheroñ se kiye ham ne ujāle
har shab ko ik aivān-e-sahar ham ne banāyā
barfāb ke siine meñ kiyā ham ne charāġhāñ
har mauja-e-dariyā ko sharar ham ne banāyā
shabnam se nahīñ, rañg diyā dil ke lahū se
har ḳhaar ko barg-e-gul-e-tar ham ne banāyā
har ḳhaar ke siine meñ chaman ham ne khilā.e
har phuul ko firdaus-e-nazar ham ne banāyā
raftār ko khilte hue ġhunchoñ kī sadā dī
har gaam ko ik ḳhuld-e-nazar ham ne banāyā
har ruḳh se tire husn kī zau phuuT rahī hai
kyā zāviya-e-fikr-o-nazar ham ne banāyā
ashkoñ ko shafaq-rañg kiyā ḳhūn-e-jigar se
kyā ġhāza-e-ruḳhsār-e-sahar ham ne banāyā
Dhalte haiñ jahāñ bāda-e-tajdīd ke sāġhar
vo mai-kada-e-fikr-o-nazar ham ne banāyā
Top Urdushayar.com