Saghar Nizami

sawan ki rut aa pahunchi kale baadal chhaenge

Saghar Nizami

Aligarh, Uttar pradesh, India

1905-1984
sāvan kī rut aa pahuñchī kaale bādal chhā.eñge
kaliyāñ rañg meñ bhīgeñgī phūloñ meñ ras ā.eñge
haañ vo milne ā.eñge rahm bhī kuchh farmā.eñge
husn magar chuTkī legā phir qātil ban jā.eñge
naale kho.e dhundalke meñ shaam huī raat aa pahuñchī
prem ke sone mandir meñ āḳhir vo kab ā.eñge
hastī kī bad-mastī kyā hastī ḳhud ik mastī hai
maut usī din aa.egī hosh meñ jis din ā.eñge
merī āñkheñ kuchh bhī nahīñ tere jalve jalve haiñ
tū jab sāmne aa.egā parde meñ paḌ jā.eñge
taare kitne hī chhiTkeñ jugnū kitne hī chamkeñ
sham.a kī zardī kahtī hai raat ga.e vo ā.eñge
Top Urdushayar.com