aañkh tumhārī mast bhī hai aur mastī kā paimāna bhī
ek chhalakte sāġhar meñ mai bhī hai mai-ḳhāna bhī
be-ḳhudī-e-dil kā kyā kahnā sab kuchh hai aur kuchh bhī nahīñ
hastī se mānūs bhī huuñ hastī se begāna bhī
husn ne tere duniyā meñ kaisī aag lagā dī hai
barq bhī sho.ala barpā hai raqs meñ hai parvāna bhī
vus.at-e-vahshat tañg huī bigḌā ghar dīvānoñ kā
najd ke ik saudā.ī ne luuT liyā vīrāna bhī
aaj mohabbat rusvā hai hāthoñ se hoshyāroñ ke
ishq kī pahlī duniyā meñ thā koī dīvāna bhī
dil kī duniyā hiltī hai roko apnī nazroñ ko
kāfir luuTe letī haiñ aaj tajallī-ḳhāna bhī
gardish mast nigāhoñ kī āḳhir vajd-añgez huī
chakkar meñ 'sāġhar' bhī hai daur meñ hai paimāna bhī