na kashtī hai na fikr-e-nā-ḳhudā hai
dil-e-tūfāñ-talab kā aasrā hai
ilāhī ḳhair nāmūs-e-vafā kī
unheñ bhī fikr-e-nāmūs-e-vafā hai
subuk-sārān-e-sāhil jānte haiñ
dil-e-sāhil meñ kyā tūfāñ bapā hai
nahīñ ye naġhma-e-shor-e-salāsil
bahār-e-nau ke qadmoñ kī sadā hai
faroġh-e-māh kyā aur kahkashāñ kyā
ye mere māh-e-nau kī ḳhāk-e-pā hai
zamāne kī ġhulāmī ham-nafas kyuuñ
zamāna aadmī kī ḳhāk-e-pā hai
shikāyat-hā-e-soz-e-tishnagī kyuuñ
abhī 'sāġhar' dar-e-mai-ḳhāna-vā hai