naġhme havā ne chheḌe fitrat kī bāñsurī meñ
paidā huiiñ zabāneñ jañgal kī ḳhāmushī meñ
us vaqt kī udāsī hai dekhne ke qābil
jab koī ro rahā ho afsurda chāñdnī meñ
kuchh to latīf hotīñ ghaḌiyāñ musībaton kī
tum ek din to milte do din kī zindagī meñ
hañgāma-e-tabassum hai merī har ḳhamoshī
tum muskurā rahe ho dil kī shaguftagī meñ
ḳhālī paḌe hue haiñ phūloñ ke sab sahīfe
rāz-e-chaman nihāñ hai kaliyoñ kī ḳhāmushī meñ