Saghar Nizami

hum aankhon se bhi arz-e-tamanna nahin karte

Saghar Nizami

Aligarh, Uttar pradesh, India

1905-1984
ham āñkhoñ se bhī arz-e-tamannā nahīñ karte
mub.ham sā ishāra bhī gavārā nahīñ karte
hāsil hai jinheñ daulat-e-sad-ābla-pā.ī
vo shikva-e-be-rañgi-e-sahrā nahīñ karte
sad-shukr ki dil meñ abhī ik qatra-e-ḳhūñ hai
ham shikva-e-be-rañgi-e-duniyā nahīñ karte
maqsūd ibādat hai faqat diid nahīñ hai
ham pūjte haiñ aap ko dekhā nahīñ karte
kaafī hai tirā naqsh-e-qadam chāhe jahāñ ho
ham pairvi-e-dair-o-kalīsā nahīñ karte
sajda bhī hai minjumla-e-asbāb-e-numā.ish
jo ḳhud se guzar jaate haiñ sajda nahīñ karte
jin ko hai tirī zaat se yak-gūna ta.alluq
vo tere taġhāful kī bhī parvā nahīñ karte
ye lamha-e-hāzir to hai kaunain kā hāsil
ham haal ko nazr-e-ġham-e-fardā nahīñ karte
har aag ko pahlū meñ chhupā lete haiñ 'saġhar'
ham tundi-e-sahbā se bhī pighlā nahīñ karte
Top Urdushayar.com