dasht meñ qais nahīñ koh pe farhād nahīñ
hai vahī ishq kī duniyā magar ābād nahīñ
DhūñDhne ko tujhe o mere na milne vaale
vo chalā hai jise apnā bhī pata yaad nahīñ
rūh-e-bulbul ne ḳhizāñ ban ke ujāḌā gulshan
phuul kahte rahe ham phuul haiñ sayyād nahīñ
husn se chuuk huī is kī hai tārīḳh gavāh
ishq se bhuul huī hai ye mujhe yaad nahīñ
barbat-e-māh pe mizrāb-e-fuġhāñ rakh dī thī
maiñ ne ik naġhma sunāyā thā tumheñ yaad nahīñ
laao ik sajda karūñ ālam-e-madhoshī meñ
log kahte haiñ ki 'sāġhar' ko ḳhudā yaad nahīñ