jo rahīn-e-taġhayyurāt nahīñ
maut hai maut vo hayāt nahīñ
kuchh bahāroñ hī pe nahīñ mauqūf
merī vahshat ko bhī sabāt nahīñ
mas.ale husn ke bhī nāzuk haiñ
ishq hī ke muāmlāt nahīñ
aaj se dil ye bazm hai un kī
ye harīm-e-tasavvurāt nahīñ
shāḳh-e-gul ho ki gardan-e-mīnā
mere hāthoñ meñ un kā haat nahīñ
ka.aba-o-dair ko sabāt hai kab
mai-kade ko agar sabāt nahīñ
husn se kā.enāt hai 'sāġhar'
ishq buniyād-e-kā.enāt nahīñ