rātoñ ko tasavvur hai un kā aur chupke chupke ronā hai
ai sub.h ke taare tū hī batā anjām mirā kyā honā hai
in nau-ras āñkhoñ vāloñ kā kyā hañsnā hai kyā ronā hai
barse hue sachche motī haiñ bahtā huā ḳhālis sonā hai
dil ko khoyā ḳhud bhī kho.e duniyā khoī diin bhī khoyā
ye gum-shudagī hai to ik din ai dost tujhe bhī khonā hai
tam.īz-e-kamāl-o-naqs uThā ye to raushan hai duniyā par
maiñ chandan huuñ tū kundan hai maiñ miTTī huuñ tū sonā hai
tū ye na samajh lillāh ki hai taskīn tire dīvānoñ ko
vahshat meñ hamārā hañs paḌnā dar-asl hamārā ronā hai
mātam hai mirī āvāz shikast-e-sāz-e-dil-e-sad-pāra kā
'saġhar' merā naġhma bhī dīpak ke suroñ meñ ronā hai