gunjā.ish-e-kalām kahāñ ḳhair-o-shar meñ hai
jab tum bashar meñ ho to sabhī kuchh bashar meñ hai
yuuñ to zalīl-o-ḳhvār har ik kī nazar meñ hai
bande kī shaan chashm-e-haqīqat-nigar meñ hai
ġham-ḳhvār ban ga.e haiñ chhiḌakte the jo namak
kuchh aisī chāshnī mire zaḳhm-e-jigar meñ hai
arz-o-samā hai vaqf-e-nigāh-e-umīd-o-yās
duniyā kī ūñch-nīch hamārī nazar meñ hai
'kaifī' hai sau barūñ kā burā phir bhī sach kaho
aisā bhī koī shaḳhs tumhārī nazar meñ hai