nisār us par na hone se na tañg aayā na aar aa.ī
mire kis kaam āḳhir zindagī-e-musta.ār aa.ī
yahīñ dekhā ki ġhalba ek ko hotā hai lākhoñ par
tabī.at ek baar aa.ī nadāmat laakh baar aa.ī
tire dil se tire lab tak tirī āñkhoñ se mizhgāñ tak
mohabbat be-qarār aa.ī muravvat sharmsār aa.ī
sharāb-e-ishq se karne ko thā tauba ki yaar aayā
mire aaḌe ye nekī kab kī ai parvardigār aa.ī
dil-e-mahzūñ kī aa.heñ mast kartī haiñ mujhe 'kaifī'
ki jab lī saañs maiñ ne mujh ko bū-e-zulf-e-yār aa.ī