Kaifi Hyderabadi

har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai

Kaifi Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

1880-1920
har taur har tarah kī jo zillat mujhī ko hai
duniyā meñ kyā kisī se mohabbat mujhī ko hai
ḳhud maiñ ne apne-āp ko bad-nām kar diyā
sābit huā ki mujh se adāvat mujhī ko hai
tum bhī to roz dekhte rahte ho ā.īna
sach bolo kyā pasand ye sūrat mujhī ko hai
tum ko to kuchh zarūr nahīñ pās-e-dostī
haañ ye zarūr hai ki zarūrat mujhī ko hai
jab lutf thā ki us ko bhī hotā mirā ḳhayāl
'kaifī' ġhazab to ye hai mohabbat mujhī ko hai
Top Urdushayar.com