dukhā hai dil tabhī to mujh pe chhā.ī hai udāsī bhī
mirī palkoñ pe aañsū bhī laboñ par hai ḳhamoshī bhī
judā.ī meñ mire dil kī suno kyā ho ga.ī hālat
mire dil meñ hai vahshat bhī baḌī hai be-qarārī bhī
mirī āñkhoñ meñ vīrānī mire dil ko pareshānī
kuchh aisī chup huī huuñ maiñ nahīñ hai ḳhud-kalāmī bhī
hameñ to hijr meñ hī kāTnī hai zindagī ab to
vo aa jaa.e nahīñ ummīd baaqī ab zarā sī bhī
agarche choT gahrī hai 'duā' phir bhī nahīñ badlī
vahī hañsne kī aadat bhī vahī hai ḳhush-mizājī bhī