Dua Ali

akeli kyun rahe birhan ye barish ne kaha mujhse

Dua Ali

Sindh, Pakistan

akelī kyuuñ rahe birhan ye bārish ne kahā mujh se
bulā le paas tū sājan ye bārish ne kahā mujh se
tumhārī saañs mahkegī ki taaza yaad bhī hogī
bhigone de mujhe āñgan ye bārish ne kahā mujh se
kabhī tum saath bhīge the magar mafhūm āñkheñ ab
bhigotī haiñ tirā dāman ye bārish ne kahā mujh se
samundar ke kināroñ par chalā thā ham-qadam lekin
banā vo shaḳhs kyuuñ dushman ye bārish ne kahā mujh se
havāoñ ne tirā āñchal uḌā Daalā tire sar se
baḌī mastī meñ hai sāvan ye bārish ne kahā mujh se
tire hoñToñ meñ sajtī thī tire sājan ke hāthoñ se
kabhī imlī kabhī jāman ye bārish ne kahā mujh se
kahīñ pardes meñ hogā 'duā' sājan ko bulvā le
na yuuñ be-kār kar jīvan ye bārish ne kahā mujh se
Top Urdushayar.com