Zahid Hasan Chugtai

ghar se nikle der hui hai ghar ko lauT chalen

Zahid Hasan Chugtai

ghar se nikle der huī hai ghar ko lauT chaleñ
gūñgī rāteñ dhuup kaḌī hai ghar ko lauT chaleñ
duur se tere miit aa.e haiñ tujh se riit nibhāne
rauzan par zanjīr paḌī hai ghar ko lauT chaleñ
dhīme dhīme āñchal vaalī aaj bhī aas lagā.e
darvāze par aan khaḌī hai ghar ko lauT chaleñ
bastī bastī charchā jin kā sunte sunte aa.e
shahr meñ aa kar baat khulī hai ghar ko lauT chaleñ
kal 'chuġhtā.ī' ham vahshī the aaj bhī ham dīvāne
kab se apnī aas lagī hai ghar ko lauT chaleñ
Top Urdushayar.com