Syed Mohammad Askari Arif

haal-e-bedari mein rah kar bhi main KHwabon mein raha

Syed Mohammad Askari Arif

Akbarpur, Uttar pradesh, India

1993
hāl-e-bedārī meñ rah kar bhī maiñ ḳhvāboñ meñ rahā
jaise pyāsā koī ik umr sarāboñ meñ rahā
mirī ḳhushbū se mo.attar thā gulistān-e-vafā
ḳhaar mānind mirā yaar gulāboñ meñ rahā
guftugū tak rahī mahdūd mulāqāt apnī
mirā mahbūb shab-e-vasl hijāboñ meñ rahā
ab mujhe ḳhāk-nashīnī kā sharaf hāsil hai
ye alag baat hai kal tak maiñ navāboñ meñ rahā
pyaar hī pyaar thā tahrīr mire ḳhat meñ magar
juz shikāyat nahīñ kuchh us ke javāboñ meñ rahā
maiñ ne har haal meñ parvāz kā sīkhā hai hunar
kaT ga.e par mire phir bhī maiñ uqāboñ meñ rahā
ishq sābit huā nuqsān kā saudā 'ārif'
sirf ghāTā hī mohabbat ke hisāboñ meñ rahā
Top Urdushayar.com