maut hai zindagī zindagī maut hai
har-nafas maut hai har ghaḌī maut hai
maiñ añdheroñ meñ kho jā.ūñ mumkin nahīñ
ek parvāne kī raushnī maut hai
is liye shaad rahtā huuñ har haal meñ
mere dushman ko merī ḳhushī maut hai
koī talvār ḳhanjar na tīr-o-tabar
hurmula ke liye ik hañsī maut hai
ḳhāmushī āqiloñ kī hai ḳhūbī magar
ba.az auqāt par ḳhāmushī maut hai
sābiroñ ke liye har taraf hai hayāt
zālimoñ ke liye maut hī maut hai
ek kaḌvī haqīqat kaheñ aur kaheñ
shahd se bhī sivā chāshnī maut hai
qaid-e-ġhurbat se 'ārif' nikal jā.iye
hai ḳhabar aap ko muflisī maut hai