Syed Mohammad Askari Arif

dard thamta hi nahin sine mein aaram ke baad

Syed Mohammad Askari Arif

Akbarpur, Uttar pradesh, India

1993
dard thamtā hī nahīñ siine meñ ārām ke ba.ad
ham to jalte haiñ charāġhoñ kī tarah shaam ke ba.ad
bas yahī soch ke akasr maiñ laraz jaatā huuñ
jaane kyā hogā mirā hashr ke hañgām ke ba.ad
ishq kar baiThe magar ham ne ye sochā hī nahīñ
ḳhaak ho jā.eñge ham ishq ke anjām ke ba.ad
likh ke kāġhaz pe tirā naam qalam toḌ diyā
koī bhāyā hī nahīñ mujh ko tire naam ke ba.ad
ġham ke sailāb meñ phir bah gayā maskan merā
chain paayā hī thā ik bārish-e-ālām ke ba.ad
mire qātil ne mirī laash pe dam toḌ diyā
vo pashemāñ thā bahut qatl ke ilzām ke ba.ad
ham ne sīkhā hai hunar fat.h-o-zafaryābī kā
azm apnā hai javāñ koshish-e-nākām ke ba.ad
sañg-sārī-o-malāmat hue ab apne nasīb
ham to barbād hue kūcha-e-asnām ke ba.ad
kyā ḳhizāñ aa.ī ki barbād huā saarā chaman
rah ga.ī āh-o-fuġhāñ gulshan-e-gulfām ke ba.ad
Top Urdushayar.com