Syed Mohammad Askari Arif

dil ki dhaDkan tham gai dard-e-nihan baDhta gaya

Syed Mohammad Askari Arif

Akbarpur, Uttar pradesh, India

1993
dil kī dhaḌkan tham ga.ī dard-e-nihāñ baḌhtā gayā
jal ga.ī hastī mirī lekin dhuāñ baḌhtā gayā
zindagī tū hī batā kis jā mujhe le kar chalī
ajnabī rastoñ pe āḳhir maiñ kahāñ baḌhtā gayā
dasht-e-vahshat meñ jalā kar zulmatoñ kī bastiyāñ
raushnī kī samt merā kārvāñ baḌhtā gayā
apnī barbādī kā zimmedār maiñ yā koī aur
zehn meñ har vaqt mere ye gumāñ baḌhtā gayā
ruuh ne chhoḌā jo tanhā jism ko vaqt-e-nazā.a
ba.ad phir us ke firāq-e-jism-o-jāñ baḌhtā gayā
tifl se le kar adam tak zindagī ke saath saath
sar pe mere bār-e-ummīd-e-garāñ baḌhtā gayā
zindagī aur maut kā yuuñ silsila chaltā rahā
tañg thā pichhlā jahāñ aglā jahāñ baḌhtā gayā
har qadam thā saath 'ārif' merā nafs-e-dā.imī
ibtidā se intihā tak maiñ jahāñ baḌhtā gayā
Top Urdushayar.com