ishq tajdīd kar ke dekhte haiñ
phir se ummīd kar ke dekhte haiñ
qatl karte haiñ apnī hastī kā
aur phir iid kar ke dekhte haiñ
us kī tanqīd karne se pahle
apnī tanqīd kar ke dekhte haiñ
roz hañste haiñ muskurāte haiñ
aaj nam diid kar ke dekhte haiñ
kuchh na hāsil huā ġhazal kah kar
aao tamjīd kar ke dekhte haiñ
vasf maqbūl kar ke dekhte haiñ
husn tardīd kar ke dekhte haiñ
aaj aarif muqallidīn kī ham
ḳhud hī taqlīd kar ke dekhte haiñ