Syed Mohammad Askari Arif

kis hasin KHwab ka fasana hai

Syed Mohammad Askari Arif

Akbarpur, Uttar pradesh, India

1993
kis hasīñ ḳhvāb kā fasāna hai
zindagī dard kā tarāna hai
sab ki nazroñ meñ vo divāna hai
jis kā andāz shā.irāna hai
maut hī zindagī kī manzil hai
zindagī maut kā bahāna hai
muflisoñ kā bhī aur shāhoñ kā
qabr hī āḳhirī Thikāna hai
zindagī hai koī hasīñ mahbūb
jis kā andāz qātilāna hai
mar chukī hai ye vasl kī hasrat
terī yādoñ se dil lagānā hai
ghuḌkiyoñ aur gāliyoñ ke sivā
kyā ġharīboñ kā mehnatāna hai
mar gayā hai zamīr logoñ kā
ye zamāna bhī kyā zamāna hai
tū mujhe mat qubūl kar lekin
tujh se rishta mirā purānā hai
ba.ad marne ke qabr meñ 'ārif'
kaun apnā hai aur begāna hai
Top Urdushayar.com