Syed Mohammad Askari Arif

zulm mujh par shadid kar baiThe

Syed Mohammad Askari Arif

Akbarpur, Uttar pradesh, India

1993
zulm mujh par shadīd kar baiThe
phir vo kār-e-yazīd kar baiThe
be-vafā.ī bhī vo nibhā na sake
ham vafā kī umiid kar baiThe
jin pe martā thā tū vo sad-afsos
mire marne pe iid kar baiThe
kis qadar ḳhush-nasīb hogā vo jo
tirī ḳhvāboñ meñ diid kar baiThe
ham the ḳhushiyoñ ko bechne nikle
dard-o-ġham kī ḳharīd kar baiThe
kaash nafrat ke leaderoñ ko koī
do tamāñche rasīd kar baiThe
aisī daulat kā fā.eda kyā hai
jo ḳhudā se ba.iid kar baiThe
kaun jaane ki ishq meñ kitne
apnī miTTī palīd kar baiThe
miT ga.ī qadr mar ga.e ādāb
ham yuuñ ḳhud ko jadīd kar baiThe
kaash ye merī shā.irī 'ārif'
us ko merā murīd kar baiThe
Top Urdushayar.com