kabhī junūñ to kabhī āgahī kī qaid meñ huuñ
maiñ apne zehn kī āvārgī kī qaid meñ huuñ
sharāb mere laboñ ko taras rahī hogī
maiñ riñd to huuñ magar tishnagī kī qaid meñ huuñ
na koī samt na jaada na manzil-e-maqsūd
yugoñ yugoñ se yūñhī be-ruḳhī kī qaid meñ huuñ
kisī ke ruḳh se jo parda uThā diyā maiñ ne
sazā ye paa.ī kī dīvāngī kī qaid meñ huuñ
ye kis ḳhatā kī sazā meñ haiñ dohrī zanjīreñ
giraft maut kī hai zindagī kī qaid meñ huuñ
na jaane kitnī naqābeñ ulaTtā jaatā huuñ
janm janm se maiñ bechārgī kī qaid meñ huuñ
yahāñ to parda-e-sīmīñ pe chal rahī hai film
maiñ jis jagah huuñ vahāñ raushnī kī qaid meñ huuñ
jahāñ maiñ qaid se chhūTūñ vahīñ pe mil jaanā
abhī na milnā abhī zindagī kī qaid meñ huuñ
ġharaz nasīb meñ likkhī rahī asīrī hī
kisī kī qaid se chhūTā kisī kī qaid meñ huuñ
gunāh ye hai ki kyuuñ apnā naam rakhā 'nūr'
vo din aur aaj kā din tīrgī kī qaid meñ huuñ