ġham-hā-e-rozgār se fursat nahīñ mujhe
maiñ kaise kah duuñ tum se mohabbat nahīñ mujhe
apno kī sāzishoñ se hī masrūf-e-jañg huuñ
ġhairoñ se dushmanī kī zarūrat nahīñ mujhe
dil meñ abhī chubhe haiñ vo alfāz tiir se
tū ne kahā thā jab tirī chāhat nahīñ mujhe
pinhāñ haiñ kunj-e-dil meñ ka.ī dard-e-lā-davā
be-vaj.h muskurāne kī aadat nahīñ mujhe
sauġhāt-e-zaḳhm-e-dil to muqaddar kī baat hai
ai yaar tujh se koī shikāyat nahīñ mujhe
tanhā.iyoñ se mujh ko rifāqat sī ho ga.ī
'ārif' siyāh shab se bhī vahshat nahīñ mujhe