āsmāñ ko zamīñ banāte haiñ
ham gumāñ ko yaqīñ banāte haiñ
ho jahāñ sākinān-e-shahr-e-vafā
āshiyāñ ham vahīñ banāte haiñ
mahv-e-ġhaflat haiñ ahl-e-duniyā sab
āḳhirat ahl-e-dīñ banāte haiñ
vo to ahl-e-nazar bilā-shak hai
ham jise ham-nashīñ banāte haiñ
ham nagīñ-sāz to nahīñ lekin
kañkaroñ ko nagīñ banāte haiñ
aql-o-ilm-o-hunar ke sāñche meñ
zindagī ḳhud hamīñ banāte haiñ
qātiloñ aur be-īmānoñ ko
apnā hākim nahīñ banāte
buġhz-o-kīna hasad ġhurūr-o-nifāq
aadmī ko la.iiñ banāte haiñ
fāsloñ aur sarhadoñ kī sadā
dil ke rishte qarīñ banāte haiñ
tum to 'ārif' baḌe hī ahmaq ho
ret ke ghar kahīñ banāte haiñ