Ahmad Zafar

kisi parinde ki wapsi ka safar meri KHak mein milega

Ahmad Zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1926-2001
kisī parinde kī vāpsī kā safar mirī ḳhaak meñ milegā
maiñ chup rahūñgā shajar kī sūrat shajar mirī ḳhaak meñ milegā
udaas āñkheñ sulagte chehroñ kī mujh ko āvāz de rahī haiñ
kabhī jo ābād rah chukā hai vo ghar mirī ḳhaak meñ milegā
lahū kī bārish meñ zard phūloñ kī pattiyoñ se likhā gayā huuñ
maiñ lafz kā zā.iqa zabāñ par asar mirī ḳhaak meñ milegā
dayār-e-shab ke bhaTakte raahī shikār-e-tashkīk-o-kam-nigāhī
alaav raushan kahīñ jo kar de sharar mirī ḳhaak meñ milegā
azal se sūraj abad meñ talāsh jis ko kartā huā gayā hai
sadaf zamīñ hai to zindagī kā guhar mirī ḳhaak meñ milegā
vo bastiyāñ jo tabāhiyoñ meñ numū kī tasvīr ban ga.ī haiñ
vajūd jin kā kahīñ nahīñ hai magar mirī ḳhaak meñ milegā
maiñ chashm-e-pur-nam kī mish.aloñ se charāġh-e-fardā jalā rahā huuñ
ki naqsh-e-irfān-o-āgahī bhī 'zafar' mirī ḳhaak meñ milegā
Top Urdushayar.com