jañgal kā sannāTā merā dushman hai
phailtā sahrā dīda-o-dil kā dushman hai
jism kī oT meñ ghaat lagā.e baiThā hai
mausam-e-gul bhī ek anokhā dushman hai
naqsh-e-vafā meñ rañg vahī hai dekho to
jis kī duniyā jo duniyā kā dushman hai
sāhil-e-marg pe rafta rafta le aayā
tanhā.ī kā rog bhī achchhā dushman hai
chāñd meñ shāyad pyaar milegā insāñ ko
is bastī kā saayā saayā dushman hai
patthar to ḳhāmosh paḌe haiñ rāhoñ meñ
ā.īna kyuuñ ā.īne kā dushman hai
jis ko dushman samjhā vo to chhoḌ gayā
jis ko apnā jaanā gahrā dushman hai