maiñ yuuñ to nahīñ hai ki mohabbat meñ nahīñ thā
albatta kabhī itnī musībat meñ nahīñ thā
asbāb to paidā bhī hue the magar ab ke
us shoḳh se milnā mirī qismat meñ nahīñ thā
tai maiñ ne kiyā din kā safar jis kī havas meñ
dekhā to vahī raat kī dāvat meñ nahīñ thā
ik lahar thī ġhā.eb thī jo tūfān-e-havā se
ik lafz thā jo ḳhat kī ibārat meñ nahīñ thā
kaifiyateñ saarī thiiñ faqat hijr tak us ke
maiñ sāmne aa kar kisī hālat meñ nahīñ thā
kyā rañg the lahrā.e the jo rāh-ravī meñ
kyā nuur thā jo sham-e-hidāyat meñ nahīñ thā
laġhzish huī kuchh mujh se bhī tuġhyān-e-talab meñ
kuchh vo bhī 'zafar' apnī tabī.at meñ nahīñ thā