āsmāñ kī aañkh sūraj chāñd bīnā.ī bhī hai
raushnī mere liye kyuuñ vaj.h-e-rusvā.ī bhī hai
kis ko siine se lagā.ūñ maiñ kise apnā kahūñ
sail-e-rañg-o-bū jise kahte haiñ tanhā.ī bhī hai
maslahat andesha-e-ġham ko zarā kam kar ga.ī
falsafa vo jhuuT shāmil jis meñ dānā.ī bhī hai
zahr-ālūda fazā meñ jab kalī sone lagī
ashk-e-shabnam ne kahā gulshan meñ purvā.ī bhī hai
fikr jaise ā.ina-dar-ā.ina raushan charāġh
tīrgī mere liye ehsās-e-ra.anā.ī bhī hai
munkashif hote ga.e ham-sūrat-e-sañg-e-vajūd
zindagī husn-e-adam bhī kār-farmā.ī bhī hai
sher kahne kā salīqa hai yahī ahmad-'zafar'
shā.iroñ ne baat samjhī bhī hai samjhā.ī bhī hai