kyā patā kis jurm kī kis ko sazā detā huuñ maiñ
rañg sā ik bāñdhtā huuñ phir bhulā detā huuñ maiñ
apne aage ab to maiñ ḳhud bhī Thahar saktā nahīñ
sāmnā hote hī chuTkī meñ uḌā detā huuñ maiñ
mo.ajiza aglā to ab shāyad purānā ho chalā
dekhnā ab ke koī chakkar nayā detā huuñ maiñ
mujh se aage bhī nikal jaanā bahut mushkil nahīñ
āj-kal āhista-rau huuñ rāsta detā huuñ maiñ
shor sā uThtā hai aur uThte hī dab jaatā hai ab
harf sā likhne se pahle hī miTā detā huuñ maiñ
taaki merī sulh-jūī ko lage kuchh bhaav bhī
har na.e fitne ko dar-parda havā detā huuñ maiñ
baat bhī suntā nahīñ huuñ vasl meñ dil kī 'zafar'
aise ḳhar-mastoñ ko mahfil se uThā detā huuñ maiñ