ik tasavvur to hai tasvīr nahīñ
ḳhvāb hai ḳhvāb kī ta.abīr nahīñ
ye rihā.ī kī tamannā kyā hai
jab mire paañv meñ zanjīr nahīñ
sub.h merī tarah ābād nahīñ
shaam merī tarah dil-gīr nahīñ
kyuuñ ubhar aayā tirī yaad kā chāñd
jab ujālā mirī taqdīr nahīñ
sañg meñ phuul khilāne vaalo
fan yahāñ bā.is-e-tauqīr nahīñ
baat kahne kā salīqa hai ġhazal
shā.irī husn hai taqrīr nahīñ
dil usī aag meñ jaltā hai 'zafar'
haa.e jis aag meñ tanvīr nahīñ