Ahmad Zafar

ye tera KHayal hai ki tu hai

Ahmad Zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1926-2001
ye terā ḳhayāl hai ki tū hai
jo kuchh bhī hai merī aarzū hai
dil pahlū meñ jal rahā hai jaise
ye kaisī bahār-e-rañg-o-bū hai
taqdīr meñ shab likhī ga.ī thī
kahne ko ye zulf-e-mushkbū hai
vo dast-e-ḳhizāñ se bach gayā hai
jis phuul meñ rañg hai na bū hai
patthar ko tarāsh kar bhī dekho
ye fan bhī ḳhudā kī justujū hai
pardes hai shahr shahr merā
aġhyār kī jis meñ aabrū hai
taqdīs ke sar meñ ḳhaak dekhī
tahzīb ke haath meñ subū hai
maiñ jiine se tañg aa gayā huuñ
ai maut subūt de ki tū hai
dekho to 'zafar' kahāñ hai yaaro
dīvāne kā zikr kū-ba-kū hai
Top Urdushayar.com