falak pe chāñd nahīñ koī abr-pāra nahīñ
ye kaisī raat hai jis meñ koī sitāra nahīñ
ye inkishāf sitāroñ se bhar gayā dāman
kisī ne itnā kahā jab ki vo hamārā nahīñ
zamīñ bhañvar ho jahāñ āsmāñ samundar ho
vahāñ safar kisī sāhil kā isti.āra nahīñ
maiñ muḳhtalif huuñ zamāne se is liye shāyad
kisī ḳhayāl kī gardish mujhe gavāra nahīñ
ḳhizāñ ke mausam-e-ḳhāmosh ne sadā dī hai
jamāl-e-dost ne phir bhī mujhe pukārā nahīñ
jo reza reza nahīñ dil use nahīñ kahte
kaheñ na ā.īna us ko jo pāra-pāra nahīñ
maiñ zaḳhm zaḳhm sahī phir bhī muskurāyā huuñ
'zafar' ba-nām-e-zafar haar ke bhī haarā nahīñ