siyāh raat kī har dilkashī ko bhuul ga.e
diye jalā ke hamīñ raushnī ko bhuul ga.e
kisī kalī ke tabassum ne bekalī dī hai
kalī hañsī to ham apnī hañsī ko bhuul ga.e
jahāñ meñ aur rah-o-rasm-e-āshiqī kyā hai
fareb-ḳhurda tirī be-ruḳhī ko bhuul ga.e
yahī hai sheva-e-ahl-e-vafā zamāne meñ
kisī ko dil se lagāyā kisī ko bhuul ga.e
zarā sī baat pe dāman chhuḌā liyā ham se
tamām umr kī vābastagī ko bhuul ga.e
ḳhudā-parast ḳhudā se to lau lagāte rahe
ḳhudā kī shaan magar aadmī ko bhuul ga.e
vo jis ke ġham ne ġham-e-zindagī diyā hai 'zafar'
usī ke ġham meñ ġham-e-zindagī ko bhuul ga.e