taras rahā huuñ qarār-e-dil-o-nazar ke liye
sukūt-e-shab meñ duā jis tarah sahar ke liye
maiñ ḳhāk-e-rāh-guzar huuñ ki masnad-e-gul huuñ
ik iztirāb-e-musalsal hai umr bhar ke liye
shajar ki jin se udāsī Tapaktī rahtī hai
ye sañg-e-mīl haiñ shāyad mirī nazar ke liye
jamāl-e-dost ko mash.al banā liyā maiñ ne
vafā ki raḳht-e-safar hai mire safar ke liye
tire ḳhayāl kā aivāñ lahū se raushan hai
mirī nazar kā ujālā hai rahguzar ke liye
shikast jis se zamāna laraztā rahtā hai
vahī naved-e-masarrat bhī hai 'zafar' ke liye