Ahmad Zafar

jab tak junun junun hai gham-e-agahi bhi hai

Ahmad Zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1926-2001
jab tak junūñ junūñ hai ġham-e-āgahī bhī hai
yaanī asīr-e-naġhma mirī be-ḳhudī bhī hai
khilte haiñ phuul jin ke tabassum ke vāste
shabnam meñ un ke aks kī āzurdagī bhī hai
kuchh sā.atoñ kā rañg mire saath saath hai
vo nik.hat-e-bahār magar ajnabī bhī hai
zinda huuñ maiñ ki aag jahannam kī ban sakūñ
firdaus-e-ārzū mire dil kī kalī bhī hai
is yaad kā bhañvar mere ehsās meñ rahā
iz.hār-e-mauj mauj kī nā-guftanī bhī hai
palkoñ pe chāñdnī ke takallum kī aañch thī
hoñToñ pe guftugū ke liye tishnagī bhī hai
kyuuñ tīrgī se is qadar mānūs huuñ 'zafar'
ik sham-e-rah-guzār ki sahar tak jalī bhī hai
Top Urdushayar.com