Ahmad Zafar

tanhai ne par phailae raat ne apni zulfen

Ahmad Zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1926-2001
tanhā.ī ne par phailā.e raat ne apnī zulfeñ
palkoñ par ham taare le kar chāñd kā rasta dekheñ
ye duniyā hai is duniyā kā rañg badaltā jaa.e
us parbat se paañv phisle jis parbat ko chhū leñ
kaise pyaas bujhāte dariyā ret kā dariyā niklā
lahr lahr meñ mauj chhupī thī dhoke meñ thī āñkheñ
jis ko man kā miit banāyā āḳhir dushman Thahrā
kis kis ko ham miit banā.eñ kis kis se ham uljheñ
lohā sonā ban saktā hai patthar hiirā motī
soch samajh kī baat hai saarī kuchh socheñ kuchh samjheñ
apnā dard bhulā deñ ai dil us ke dard kī ḳhātir
apne ghaav yaad na aa.eñ chāñd kā ghaav dekheñ
Top Urdushayar.com