Ahmad Zafar

zahr ko mai na kahun mai ko gawara na kahun

Ahmad Zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1926-2001
zahr ko mai na kahūñ mai ko gavārā na kahūñ
raushnī maañg ke maiñ ḳhud ko sitāra na kahūñ
apnī palkoñ pe liye phirtā huuñ chāhat ke sarāb
dil ke sahrā ko samundar kā kināra na kahūñ
hijr ke phuul meñ vo chehra-e-zarrīñ dekhūñ
vasl ke ḳhvāb ko milne kā ishāra na kahūñ
marte marte bhī ye tahrīr amānat merī
maut ke ba.ad bhī jiine ko ḳhasāra na kahūñ
apnī takmīl ke har naqsh meñ dekhūñ us ko
arsa-e-dahr ko hasrat kā nazāra na kahūñ
hashr se pahle mire hashr kī tasvīr na ban
harf-e-āḳhir ko kisī taur dobāra na kahūñ
zindagī jis kī mire dam se ibārat ho 'zafar'
kyuuñ kahe koī use jaan se pyārā na kahūñ
Top Urdushayar.com