Ahmad Zafar

phul ki rangat maine dekhi dard ki rangat dekhe kaun

Ahmad Zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1926-2001
phuul kī rañgat maiñ ne dekhī dard kī rañgat dekhe kaun
pyaar kā giit sunā hai sab ne dhun thī kaisī soche kaun
dhuup ne tan-man phūñk diyā to saa.e meñ aa baiThā thā
shāḳh shāḳh meñ aag chhupī hai peḌ ke nīche baiThe kaun
apne dard ko gard samajh kar manzil manzil chhoḌ diyā
ā.īne par dhuul jamī hai ā.īne meñ dekhe kaun
añg añg se rañg rañg ke phuul baraste dekhe kaun
rañg rañg se shole barse kaise barse soche kaun
fan tartīb kā zevar le kar gulshan gulshan ubhrā hai
be-tartībī husn hai jis kā us fankār se uljhe kaun
mere coat kā mailā collar aur numāyāñ hotā hai
pāgal saj-dhaj rakhne vaale tere sāmne baiThe kaun
Top Urdushayar.com