us ne toḌā jahāñ koī paimāñ
marhale aur ho ga.e āsāñ
miir hai koī koī hai sultāñ
sochtā huuñ kahāñ gayā insāñ
āñdhiyoñ meñ jalā rahe the charāġh
haa.e vo log be-sar-o-sāmāñ
falsafī falsafoñ meñ Duub ga.e
aadmī kā lahū rahā arzāñ
abr ban kar baras hī jā.egā
khet se jab uThā ġham-e-dahqāñ
sho.ala-e-gul hai zaḳhm-e-dil kī tarah
ye chaman meñ bahār hai ki ḳhizāñ
sīna-e-sañg meñ bhī phuul khile
ġham jahāñ bhī huā ġham-e-pinhāñ
dil kī āzurdagī na pūchh 'zafar'
baat mere liye hai sañg-e-girāñ