Ahmad Zafar

aur kya mere liye arsa-e-mahshar hoga

Ahmad Zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1926-2001
aur kyā mere liye arsa-e-mahshar hogā
maiñ shajar hūñgā tire haath meñ patthar hogā
yuuñ bhī guzreñgī tire hijr meñ rāteñ merī
chāñd bhī jaise mire siine meñ ḳhanjar hogā
zindagī kyā hai ka.ī baar ye sochā maiñ ne
ḳhvāb se pahle kisī ḳhvāb kā manzar hogā
haath phailā.e hue shaam jahāñ aa.egī
band hotā huā darvāza-e-ḳhāvar hogā
maiñ kisī paas ke sahrā meñ bikhar jā.ūñgā
tū kisī daur ke sāhil kā samundar hogā
vo mirā shahr nahīñ shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah
jis meñ har shaḳhs kā marnā hī muqaddar hogā
kaun Dūbegā kise paar utarnā hai 'zafar'
faisla vaqt ke dariyā meñ utar kar hogā
Top Urdushayar.com