yuuñ to dekhī haiñ mire yaar sabhī kī āñkheñ
us kī āñkhoñ sī kahāñ aur kisī kī āñkheñ
vo to parbat kī bulandī ko bhulā baiThī hai
gum haiñ yuuñ tere ubhāroñ meñ nadī kī āñkheñ
us kī gardan ke sabhī tauq utar jaate haiñ
jis pe uTh jaatī haiñ ik baar valī kī āñkheñ
bas tirī raah meñ luTne ko tule baiThe haiñ
kisī lamhe kā badan ho ki sadī kī āñkheñ
hijr kā vaqt batātī hai hamesha 'nomān'
dekhtā huuñ maiñ jo har baar ghaḌī kī āñkheñ