ḳhumār-e-tishna-labī meñ ye kaam kar aa.e
ham apnī pyaas ko dariyā ke naam kar aa.e
tumhāre lams kā sandal mahakne vaalā hai
ḳhabar ye ham bhī daraḳhtoñ meñ aam kar aa.e
use gale se lagānā to ḳhvāb Thahrā hai
yahī bahut hai jo us se kalām kar aa.e
tumhārī yaad kī chhāñv meñ din guzārā hai
tumhāre zikr ke saa.e meñ shaam kar aa.e
kuchh aur ho na sakā ham se is jahāñ meñ magar
yahī bahut hai mohabbat meñ naam kar aa.e