jaane kyuuñ pyaas kī chaukhaT pe vo aa baiThā hai
maiñ ne har gaam nayā abr jise baḳhshā hai
ek lamhe ko bhī muḌ ke nahīñ dekhā us ne
jaane vaale ko bahut duur talak dekhā hai
ḳhaak se paak libādoñ kī mahak aatī hai
qāfila dasht ke āñgan meñ khilā kis kā hai
mo.ajiza us ko hī kahtī hai ye duniyā shāyad
mujh ko ummīd na thī par vo palaT aayā hai
ik nazar maiñ ne jise pyaar se dekhā 'nomān'
vo parinda mirī dahlīz pe aa baiThā hai