ye alag baat ki ham sā nahīñ pyāsā koī
phir bhī dariyā se ta.alluq nahīñ rakkhā koī
mere maktab ko dhamāke se uḌāyā gayā hai
ab ki hāthoñ meñ kitābeñ haiñ na basta koī
jaane kis or gayā qāfila ummīdoñ kā
dil ke sahrā meñ nahīñ aas kā ḳhema koī
kis ajab dhun meñ yahāñ umr gañvā.ī ham ne
qarz miTTī kā utārā na hī apnā koī
pyaas ke hāthoñ mirā qatl huā hai 'nomān'
dost dariyā the magar paas na aayā koī