Bismil Allahabadi

aazar-o-jafa-e-paiham se ulfat mein jinhen aaram nahin

Bismil Allahabadi

āzār-o-jafā-e-paiham se ulfat meñ jinheñ ārām nahīñ
vo jiite haiñ lekin un ko marne ke sivā kuchh kaam nahīñ
aflāk kī gardish se dam-bhar duniyā meñ hameñ ārām nahīñ
vo din nahīñ vo ab raat nahīñ vo sub.h nahīñ vo shaam nahīñ
kyuuñ ham ne mohabbat kī un se diqqat meñ phañse zahmat meñ phañse
āġhāz hī meñ dil meñ kahtā thā achchhā us kā anjām nahīñ
is kā bhī alam us kā bhī qalaq ye ġham bhī hameñ vo ġham bhī hameñ
jiine ko ġhanīmat samjhe the jiine meñ magar ārām nahīñ
gulshan meñ ḳhizāñ ab aa pahuñchī mai-ḳhāne meñ jī kyuuñ kar bahle
vo rañg nahīñ vo lutf nahīñ vo daur nahīñ vo jaam nahīñ
har saañs se aatī hai ye sadā marne ke liye tayyār raho
jiine se nahīñ kuchh dilchaspī jiine se hameñ kuchh kaam nahīñ
qātil ko ye samjhā de koī naale se fuġhāñ se shevan se
bismil na karūñ maiñ ai 'bismil' to bismil merā naam nahīñ
Top Urdushayar.com