dekhte hī dhaḌkaneñ saarī pareshāñ ho ga.iiñ
terī āñkheñ ai sitamgar āfat-e-jāñ ho ga.iiñ
aa gayā palkoñ pe ashkoñ ke patañgoñ kā hujūm
jab kisī kī yaad kī sham.eñ farozāñ ho ga.iiñ
phir mirī tasbīh ke daane bikhar kar rah ga.e
phir duā.eñ aaj un ke dar kī mehmāñ ho ga.iiñ
un ke har ik lams kā aisā asar mujh par huā
dil kī dīvāreñ sabhī shahr-e-nigārāñ ho ga.iiñ
ye shab-e-tanhā.ī 'sādiq' mujh ko Das letī magar
shukr hai yādeñ dar-e-dil kī nigahbāñ ho ga.iiñ