tirī shabīh ko likkhā hai rañg-o-bū maiñ ne
guloñ kī aise bachā lī hai aabrū maiñ ne
kitāb-e-zīst pe hai lafz-e-nā-shanāsā.ī
magar ye kyā ki likhā tum ko aaj tū maiñ ne
mujhī meñ rah ke vo ab tak nahīñ milā mujh ko
ki ek umr se kī jis kī justujū maiñ ne
raheñge chain se ab dard maiñ mohabbat ġham
tumhārī dil se miTā dī hai aarzū maiñ ne
jo mere lahje meñ ab bhī ḳhumār hai 'sādiq'
kisī se ḳhvāb meñ kar lī thī guftugū maiñ ne